roz thora thora sa mar raha hoon, bas usi kafan ka intzaar k

~¤Akash¤~

Prime VIP
mere baad mat dhondhna mere kadmon ke nishan,
main to ek saya hoon kaali raat ka saya jiska koi wajood nahi,
janmo se main bhatak raha hoon apni talaash main,
dubba hua hoon na jane kaisi pyaas main,
..
zindagi se khafa mout ki talash main,
anjaan se safar main koi sathi nahi hai mera,
ek safed sa saya jo shayad mera kafan hai,
roz mujhay dhakne ki firaq main,
aata hai har raat mere sone kay baad,
lakin usse bach ke bhagne ki koshish main,
roz thora thora sa mar raha hoon,
bas usi kafan ka intzaar kar raha hoon,..
 
Top