Roz

~¤Akash¤~

Prime VIP
Roz in aankhon se unka deedar kiya karte hain,
Roz hi dil se unse milne ki dua kiya karte hain

Roz dil kehta hai ki ye nahi wo jiski talaash hai tujhe,
Roz hi is dil se bagaawat kiya karte hain

Roz guzarta hai tufaan is dil ki raahon se,
Roz us tufaan ke martabaa sannate ko jiya karte hain

Jaante hain wo bhi sab dil hi dil mein,
Phir bhi na jaannne ka dhong kiya karte hain

Kar ke bechain muhn pher lenaa,
aye khuda, kyun log amuman ye zulm kiya karte hain

Kabhi to ayega udhar se koi jawaab,
Isi ummeed mein nazron se unhe salaam kiya karte hain

Sata lo jitna sataa sakte ho hamein,
Hum bhi toofanon se khelna ka shouk rakha karte hain
 
Top