Raat dhal gayi....

aman1987

Aman Jatt
Raat dhal gayi, sitare chale gaye..
Gairo se kya gila jab apne chale gaye..
Jeet to sakte the ishq ki baji hum bhi..
Par unko jitane ke liye hum harte chale gaye.


Apni to mohabbat ki itni kahani hai,
Tooti hui kashti or thera hua pani hai,
Ek phool kitabon may dam tor chuka hai,
Magar kuch yaad nahi aata yeh kis ki nishani hai.


Agar phulon mein kante hai
to isme phulon ka kya kasor.
Chand par dag hai
to isme chand ka kya kasor.
Ek khata to hamne bhi ki dil lagane ki
agar hum aapse pyar kar baithe
to isme hamara kya kasor.


Wo inkaar bhi karte hai to ikraar ke liye,
nafrat bhi karte hain to pyar ke liye,
ulti chaal chalte hain ye isk wale,
aankhein bhi band karte hain to deedar ke liye.



yun nazron ki baat ki to dil chura gaye,
andheron k saaye me dhadkane suna gaye ,
humne to samjha tha aapko ajnabi ,
magar aap to hame hi apna bana gaye
 
Top