Qubul usse bhi kiya hai, qubul aaj tujhse bhi karta hoon.

~¤Akash¤~

Prime VIP
Wafa ki thi na maine , magar bewafai bhi na thi
Pyaar maine usse bhi kiya hai, pyaar mai thujhse bhi karta hoon

Yeh ilzaam na lagao, ki dhoke baaz hoon main
Izhaar maine usse bhi kiya hai , izhar mai tujhse bhi karta hoon

Logon ne kaha ki gunaah kiya hai maine
Bewafai usse bhi ki hai, bewafai tujhse bhi kar raha hoo.

Chun sakoon kisi ek ko, yeh to nainsafi hai
Inkaar usse bhi kiya hai, inkaar tujhe bhi kar raha hoon.

Mujhe ab kisi aur se mohabbat ho gayi hai
Tadpti woh bhi hai, tadpa ab tujhe bhi raha hoon

Na mujrim hoon main, na koi jurm kiya hai maine
Qubul usse bhi kiya hai, qubul aaj tujhse bhi karta hoon.
 
Top