pyar bala ka tha usse hi ,jiske tane sahti thi

~¤Akash¤~

Prime VIP
Ek ladki pagal diwani ,gumsum chup chup si rahti thi
barish ki tarah shor nahi karti,jheel ki tarah wo bahti thi
koi us ko padh na pata ,koi us ko samjh na pata
ek najar bhar dekhkar har koi aage badh jata
Dari sahmi si uski aankhen,na jane kya kya kahti thi
...
ek shakhs dikhata tha aksar ,jo ata jata us ke ghar
lata sath main ek thokar ,khush hota use chot dekar
jitne pal rukta tha aakar ,woh us main simatee rahtee
jo ghav chor ke jata woh ,un choton se lipti rahti
us ki baton ko itna sach wo samjhti thi
Us k kahne par wo khud ko pagal kahti thi
woh hansatha tha jab jab us pe,woh bhi hansti rahti thi
jab jab ata tha us ke ghar,us ko kosa karata tha
na pyar ki kadar koyee,har waqt usse ladhta tha
us ko kinara mana us ne,us tak hi woh bahti thi
pyar bala ka tha usse hi ,jiske tane sahti thi
 
Top