Pyaar ki had se. hai ziyada pyaar kiyaa

~¤Akash¤~

Prime VIP
Kabhi nazar se giraa diyaa,
Kabhi dil mein basaa liyaa,
Mohabbat mein tumne, humein,
Kabhi hasaa to kabhi rulaa diyaa

Kabhie pyaar be_shumaar kiya
Kabhi dard be_intehaa diya
Apni dewaangee mein tumne, humein,
Kis mukaam par puhancha diya

Kabhi mausam_e_bahaar se mila diya,
Kabhi sehra mein tanha kar diya
Dil ko khilona samajh kar tumne,
Humein Har khel mein hara diyaa

Kabhi umeedon ko barhaa diya
Kabhi mayoosiyon ne jeena dushwaar kiya,
Phir bhi humdam humne, tumhein
Pyaar ki had se. hai ziyada pyaar kiyaa
 
Top