Phuul se aashiqii kaa hunar siikh le,

Duusaron ko hamaarii sazaayein na de,

Chaandnii raat ko bad_duaayein na de,




Phuul se aashiqii kaa hunar siikh le,

Titaliyaan khud rukeingii sadaayein na de,




Sab gunaahon kaa iqraar karne lagein,

Iss qadar khubsuurat sazaayein na de,




Motiyon ko chhupaa siipiyon kii tarah,

Bevafaaon ko apnii vafaayein na de,




Main bikhar jaauungaa aansuuon kii tarah,

Iss qadar pyaar se bad-duaayein na de,











 
Top