phir uske zakhmon pe marham lagake,Aaj woh kehte hain ki woh

~¤Akash¤~

Prime VIP
Dil ko dhadaknaa sikhaa ke,
unn dhadkanon ko apna banake,
woh kehte hain woh humse pyaar nahi karte...

raaton ki neenden udaa ke,
jaagti aankhon ko apne sapne dikhaa ke,
woh kehte hain woh humse pyaar nahi karte...

labon pe jo inkaar thi,
use ekraar banaake,
woh kehte hain woh humse pyaar nahi karte...

mohabbat ke rang dikhaaa ke,
hamare dil mein apna ghar banake,
woh kehte hain woh humse pyaar nahi karte...

jinko hum apna aaks batate the,
woh kehte hain woh humse pyaar nahi karte...
jinse door rehkar aankhon mein aansoo hain aa jate,
woh kehte hain ki woh humse pyaar hi nahi karte...
jo hamari taakat thi,
ussi pyaar se humein kamzor banake,
woh kehte hain woh humse pyaar nahi karte...apni chahat ke tabassum ka deedar karake,
woh kehte hain woh humse pyaar nahi karte...aashiqui ka manzaar dikhake,
diwangi ki hadein par karake,
woh kehte hain ki woh humse pyaar nahi karte...aakash mein udate paanchi ko apna nishaana banaake,
phir uske zakhmon pe marham lagake,Aaj woh kehte hain ki woh humse pyaar hi nahi karte.
 
Top