Phir Meri Kami Hogi.

Justpunjabi

Lets_rock
Gulshan ki baharoon main,
Rangeen nazaroon main,
jab tum mujhey dhoondo gay,
aankhon main nami hogi,
mehsoos tumhein har dum,
phir meri kami hogi......

aakash pay jab taaray,
sangeet sunaye gay,
beetay huvay lamhoon ko,
aankhon main sajayein gay,
tanhaye kay sholoon say,
jab aaag lagi hogi
mehsoos tumehin har dum
phir meri kami hogi,

sawan ki ghataon ka,
jab shoor suno gay tum,
bikhray huvay maazi kay,
avraaq chuno gay tum,
mahool kay chehray par,
jab dhool jami hogi,
mehsoos tumhein har dum,
phir meri kami hogi...

jab naam mera loo gay,
tum kaanp rahay ho gay,
aanso bharay daaman say,
munh dhaanp rahey ho gay,
rangeen ghataon ki,
jab shaaam ghani hogi,
mehsoos tumhein har dum,
phir meri kami hogi.......
 
Top