phir aaj mujhe tum ko bas itanaa bataanaa hai

~¤Akash¤~

Prime VIP
phir aaj mujhe tum ko bas itanaa bataanaa hai
ha.Nsanaa hii jiivan hai ha.Nsate hii jaanaa hai


madhuban ho yaa gulshan ho patajha.D ho yaa saavan ho
har haal me.n i.nsaa.N kaa ik phuul saa jiivan ho
kaa.Nto.n me.n ulajh ke bhii Khushbuu hii luTaanaa hai
ha.Nsanaa hii jiivan hai ha.Nsate hii jaanaa hai


har pal jo guzar jaaye daaman ko to bhar jaaye
ye soch ke jii le.n to taqdiir sa.Nvar jaaye
is umr kii raaho.n se Khushiyo.n ko churaanaa hai
ha.Nsanaa hii jiivan hai ha.Nsate hii jaanaa hai


sab dard miTaa de.n ham, har Gam ko sazaa de.n ham
kahate hai.n jise jiinaa duniyaa ko sikhaa de.n ham
ye aaj to apanaa hai kal bhii apanaana hai
ha.Nsanaa hii jiivan hai ha.Nsate hii jaanaa hai
 
Top