...Ph!r mer! kam! hog! Gulshan ki baharoon main, Rangeen naz

~¤Akash¤~

Prime VIP
...Ph!r mer! kam! hog!
Gulshan ki baharoon main,
Rangeen nazaroon main,
jab tum mujhey dhoondo gay,
aankhon main nami hogi,
mehsoos tumhein har dum,
phir meri kami hogi......

aakash pay jab taaray,
sangeet sunaye gay,
beetay huvay lamhoon ko,
aankhon main sajayein gay,
tanhaye kay sholoon say,
jab aaag lagi hogi
mehsoos tumehin har dum
phir meri kami hogi,

sawan ki ghataon ka
jab shoor suno gay tum,
bikhray huvay maazi kay
avraaq chuno gay tum
mahool kay chehray par
jab dhool jami hogi
mehsoos tumhein har dum
phir meri kami hogi

jab naam mera loo gay
tum kaanp rahay ho gay
aanso bharay daaman say
munh dhaanp rahey ho gay
rangeen ghataon ki
jab shaaam ghani hogi
mehsoos tumhein har dum
phir meri kami hogi....
 
Top