Path Ka Nirman

Path Ki pehacan khojta hu
umang kisi roshni me dhoondta hu
mai chalu kis anjane path pe
mhaaji se ye sawal phuchta hu

Path Ka nirman karna hai
mujhe nadiya ke us paar utarna hai
thamunga nahi thakunga nahi
jhukunga nahi darunga nahi
kaanto se bhi risunga nahi
maujo se ladta hua
jeevan ki naiya ko
uski manzil tak pauchaunga me...

Atal vishvas hai
Atoot sankalp hai
Jeevan ke bhram me
ye mera dhrid nischaya hai​
 
Top