nisha ka samay tha nakhat jhilmilata

Saini Sa'aB

K00l$@!n!
nisha ka samay tha nakhat jhilmilata
gagan ank me koi shashi muskarata
achanak sunai di pairo ki ahat
hui bhang nidra khula netra tab tak
mere samne aa ke koi khara tha
are yah na koi mera bimb hi tha
re parichy tera kya ye avaj aai
kiya prshan aise meri parcchayi
usi kshan meri aatma jag aai
re prtibimb sun parichay mai dene aai
tumhe dristigat ho rahi kshudra bala
nahi!aaj mai ek bhisan si jvala
anyay apaman bhadha kathinata ko
durjan ke cchal bal ko kshan me jala du
yadi rah ka sindhu kantak bane to
isee kshan sagar sindhu ka jal sukha du
mera lauh bhuj tor de sara bandhan
pawan ki tarah ur ke us par jau
sare jagat ke timir ko sametu
aur unake liya ek kara banau
pakaru nimish me har ek pamaro ko
sada ke liye unako bandi banu
sahas abhay dhairya hai nam mere
ye chhu or mujhko hai utsah ghere
saral hu sajal par kabhi kasth bhi hu
meri jindagi koi vaibhv na here
 
Top