Nahi rukte

sweggar

Well-known member
Hawa Jab geet gati hai Mere AAnsu Nahi Rukte...
Tumhari Jab yaad AAti hai Mere aansu Nahi Rukte....
Main khush hota hun paani main baha ker kagaz ki kashti....
Magar jab doob jati hai mere aansu nahi rukte...
Main din bhar khauf ruswai ka kitna zabt karta hun....
Magar jab raat chati hai mere aansu nahi rukte....
Kabhi jab sard shamo main mere kamre ki tanhai
Tumhain wapas bulati hai mere aansu nahi rukte...!!
 
Top