Na unki khabar aaye na jaan jaye to kya karun

~¤Akash¤~

Prime VIP
Tumse milkar kisi se mila na gaya
Is jahan mai koi tumsa nahi to kya karun

Taman raat taare ginti hain aankhein
In mai neend na samaye to kya karun

Har ghadi sunta hoon tere kadmon ki aahat
Palat kar dekhne par kuch na paoon to kya karun

Voh sangdil gairon par karam karta hai
fir bhi uspar hi pyar aaye to kya karun

Aankhon ki nami ko chupa ker jeene ki aadat hai hume
Sawan mai barish sang ashq bah gaye to kya karun

Kab tak sahna hoga aey khuda jeene ka gum
Na unki khabar aaye na jaan jaye to kya karun
 
Top