na main pass usko bula saka na main dil ki...

Pardeep

๑۩۩๑┼●ℛŐŶ

[SIZE=+4][SIZE=+3]na main pass usko bula saka na main dil ki baat suna saka
[/SIZE][SIZE=+3][SIZE=+3]
woh hansi hansi hi mein chal diya ke main haath tak na hila saka

mujhe kya khaber ke mujhe kya hua mujhe kitna gehra khumaar tha
main khada tha uske hasaar mein mere ird gird gubar tha

yuh nahi sochta raha dair talak magar usko kuch na bata saka
na main pass us ko bula saka na main dil ki baat suna saka

na hai dushmani kissi din se ab na hai dosti kissi raat se
hai bacha hi kiya jo woh le gaya mujhe cheen ker meri zaat se

woh maqam hi tha ajeeb sa ke main khud ko bhi na bacha saka
na main pass usko bula saka na main dil ki baat suna saka

yeh bhi theek hai woh chala gaya mujhe bund ruste pe chod kar
yeh bhi theek hai ke na aayega kabhi but ana ka woh tor kar

woh juda bhi kaise hua ke main koi rasam bhi na nibha saka
na main pass us ko bula saka na main dil ki baat suna saka

woh hansi hansi hi mein chal diya ke main haath tak na hila saka
jo mere qareeb na aa saka main ussi se dur na ja saka

mera pyar bhi koi pair tha ke jo barg o baar na pa saka
main khizaan ki rut mein juda hua main bahar rut na mana saka

usse dekh leta main ek nazar jise dil kabhi na bhula saka
main tha bai khudi ki giraft main koi rasam bhi na nibha saka

na main pass us ko bula sakha na main dil ki baat suna saka
woh hansi hansi hi main chal diya ke main haath tak na hila sakha[/SIZE][/SIZE]

dns39-1.png
[/SIZE]
 
Top