"mushkil bahut safar lagta hai"............

~¤Akash¤~

Prime VIP
"chup reh kar hi har gum sehna"
"har dum aansu aankho se behna"
"dard ho to bhi muh se na kehna"
"mehfil mai bhi tanha rehna"
"deewaron se mil kar rona"
"hoton ko bhi silkar sona"
"tera hokar bhi na hona"
"mera na hokar bhi hona"
"kitna mushkil tha ye sapna"
"jisko maan lia tha apna"
"usse nata kaise tute"
"chahe wo the kitne jhoote"
"laikn unko pyar kiya tha"
"sab kuch apna waar diya tha"
"ab wo humse door hue hain"
"hum bhi to majboor hue hain"
"dil zakhmo ka ghar lagta hai"
"ab manzil se darr lagta hai"
"pav main chale itna hain ke"
"mushkil bahut safar lagta hai"
"mushkil bahut safar lagta hai"............
 
Top