musaafiroN ke liye raasta hi kaafi hai

~¤Akash¤~

Prime VIP
Tumhara ishq tumhari wafaa hi kaafi hai
tamaam umr yahi aasra hi kaafi hai ...

JahaaN kahiN bhi milo, mil ke muskura dena
khushi ke waaste yeh silsilaa hi kaafi hai ..

Mujhe bahaar ke mausam se nahiN kuchh lenaa
tumhare pyaar ki rangeeN fiza hi kaafi hai ..

yeh log kaun si manzil ki baat karte haiN?
musaafiroN ke liye raasta hi kaafi hai
 
Top