muntazir kab se tahayyur hai

muntazir kab se tahayyur hai terii taqariir kaa
baat kar tujh par gumaaN hone lagaa tasviir kaa

raat kyaa soye ki baaqii umr kii niind uD ga_ii
Khvaab kyaa dekhaa ki dha.Dakaa lag gayaa taabiir kaa


jaane tuu kis aalam mein bichhaDaa hai ki tere baGair
aaj tak har lafz fariyaadii merii tahariir kaa


jis tarah baadal kaa saayaa pyaas bhaDakaataa rahe
mai.n ne vo aalam bhii dekhaa hai terii tasviir kaa

kis tarah paayaa tujhe phir kis tarah khoyaa tujhe
mujh saa munkir bhii to qaa_il ho gayaa taqadiir kaa


ishq mein sar phoDanaa bhii kyaa ke ye be-meher log
juu-e-KhuuN ko naam dete hain juu-e-shiir kaa

jis ko bhii chaahaa use shiddat se chaahaa hai 'Faraz'
si_-silaa TuuTaa nahiin dard kii zanjiir kaa

 
Top