Mujhko bhi itni mehfil main tanha bana gaya.................

~¤Akash¤~

Prime VIP
Sab se chhupa ke dard jo woh muskura diya,
Uski hasi ne aaj mujhko rula diya,
Lehjey se uth rahi hai har ek dard ki daastan,
Chehra bata raha tha ke sab kuch gava diya,
Awaaz me thehrao tha aakho me nami thi,
Aur keh raha thi maine sab kuch bhula diya,
Tute kaanch ki kirchon se chubhte hai woh khwab,
Mayusi ka yeh manzar humko tadpa gaya,
Khud bhi woh humse bichad kar adhoora sa ho gaya,
Mujhko bhi itni mehfil main tanha bana gaya.................
 
Top