Mujh hi se chipata hai raaz-ae-gam sare sham,

~¤Akash¤~

Prime VIP
Sitam bhi karta hai uska sila bhi deta hai,
ki mere haal pe vo muskura bhi deta hai.

Vo kaun hai jo banata hai nakhsh pani par,
do patharoin ki lakere mita bhi deta hai.

Vo kaun hai ki jo banata hai raah mei deewar,
aur uske baad fir nayi raah dikha bhi deta hai.

Vo kaun hai jo gamon se navazta hai mujhe,
gamon ko sehne ka fir hosla bhi deta hai.

Mujh hi se chipata hai raaz-ae-gam sare sham,

mujh hi ko aakhiri shaab fir bata bhi deta hai
 
Top