Muj ko bhi itnay logoon mein tanha bana dia.......

~¤Akash¤~

Prime VIP
Sab se chupa ker dard jo wo muskara dia,
Uski hansi ne tu aaj mujh ko rula dia.

Lehjay se uth rahi thi har ik dard ki dastan
Chehra bata raha tha sub kuch ganwa dia,

Awaz mein thehrao tha ankhon mein nami thi
Aur keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya,

Janay kia usko mukh se thein shikayatein
Tanhaiyon k dais mein khud ko basa dia,

Khud bhi woh hum say bichar k adhora sa ho gaya
Muj ko bhi itnay logoon mein tanha bana dia.......
 
Top