muddaton saamnaa nahi hota

~¤Akash¤~

Prime VIP
main bhi shaayad buraa nahii hota
vo agar bevafaa nahin hota
bevafaa bevafaa nahi hota
Khatm ye faasalaa nahi hota
kuchh to majabuuriyaaN rahi hongi
yuuN koi bevafaa nahi hota
jii bahut chaahataa hai sach bolein
kyaa karein hauslaa nahi hota
raat kaa intazaar kaun kare
aaj-kal din mein kyaa nahi hota
guftaguu un se roz hoti hai
muddaton saamnaa nahi hota
 
Top