mohabbat isko na kehna tassalsul toot jaega.................

~¤Akash¤~

Prime VIP
tumhara dekhna hamko hamara yun hi ruk jaana
bina koi sada deke sada si ham ko de jaana
kabhi jab shaam dhalti ho tumhara chhat pe aajana
kabhi hamko bina matlab koi ek phool de jaana
vo tujhko dekh ke meri zubaan ka kund ho jaana
tu chahat hai nazar ki par nazar ka phir bhi jhuk jaana
tujhe khwaabon me rakh lena kitabon par tujhe likhna
tera ik naam sun kar saari duniya bhool bas jaana
mohabbat isko na kehna tassalsul toot jaega..........................
 
Top