mohabbat

Kee jo mohabbat to jana hoti hai mohabbat kya..
Chaha jo tumko to jana hoti hai chahat kya..

Suni bahut thi adaaon nigahon ki bijliyon ki baaten..
Dekha jo tumko to jana hoti hai qayamat kya..

Mila kar nazar muskurana ban jana phir anjaan..
Dekhi jo ye ada to jana hoti hai shararat kya..
 
Top