mili hai kabhi dharteee asmaan sey?

~¤Akash¤~

Prime VIP
khawaish karta hai insaan khuda sey
apna pehla haq samjhtey huye
kismat khuda banata hai
insaan ki fitrat parakhtey huye
anjaan hai nadaan hai..

khawabon aur khayalon ki duniya mein
chalta hai chand sitarey samait-tey huye
kehlataa hai khuda mujrim
jab toot jayeN sundar siloney sapney sheeshey sey

kash kabhi samjh sakey yeh masoom chahrey
nahin milta kisi ko mukammil jahaan yahaN pey
mili hai kabhi dharteee asmaan sey?
 
Top