Meri Shayri meri Aatma ka Bojh uthati hai...!!!

~¤Akash¤~

Prime VIP
Khyalon ki Almari ek Sapna roz dikhati hai
Kitne toote hain Khwab phir bhi Roz sajati hai
..
Na jane Taqdeer kahan se laayi hai itne Alfaaz
Thamti nahin har Pal naya ikk Fasana sunati hai
....
Ehsaason ko kuredna humen Aata nahin hai
Kya Maloom meri Kalam kya likhti jati hai
..
Tadap tadap kar hi jeena Naseeb hai agar
To jee lenge jab tak Zindagi jeeye jati hai
..
Kisi kandhe ki koi Arzoo nahin hai hume..
Meri Shayri meri Aatma ka Bojh uthati hai...!!!
 
Top