●┼●๋• meri shayari tere naam●┼●๋•

~¤Akash¤~

Prime VIP
██╠♥╣██╠♥╠●๋ •ωєℓ¢σмє in this thread●๋•♥╣██╠♥╣██


●┼●๋• meri shayari tere naam●┼●๋•















Thanks for vistting and taking time for reading this shayari ..








unknown writers
lots of shayari moved so now no need to worry abt move
 
Last edited:

~¤Akash¤~

Prime VIP
tum chalay gayay aur tasweer tumhari reh gai
kehnay waali thin jo baateyn wo saari reh gai

tumhari yaad ne kal shab bohot sataaya mujhe
meri aankhon may dekho kaysi khumaari reh gai

ibteda-e-ishq may yun garm hue thay magar ab
shola-e-jaan sard hua, bas ik chingaari reh gai

huaa jab ilm, kay wo aaj bhee nahee aayay
husn aur ishq kee saaree tayyaaree reh gai

nazar miltay hi yun aapas may mil gayay 2 dil
kuch zara kaam na aai saari hushiyaari reh gai

ajab jazbaat say us nay jo pukaara
haya ankho me aur chehre pe sharm-saari reh gai
 

~¤Akash¤~

Prime VIP
Ik tera ehsaas hai
jo her waqt mere saath hai
ik teri yaad hai¤
jo din raat mujhe tarpati hai
ik umeed hai tere aanay ki
apna tujhe banane ki
na chain hai na sakoon hai
yeh kaisa mera haal hai....
raatain ho gyi hain itni lambi
jo kaate nahi kat'ti
na bhook hai na pyaas
na koi aas hai na koi paas hai
Bas ik tera ehsaas hai
jo her waqt mere saath hai¤!!!
 

~¤Akash¤~

Prime VIP
kuch is ada se aaj woh pehloo nashee.n rahy
jab tak hmary paas rahy ham nahi rahy

YARAB kisi k raz-e-mohabbat ki khier ho
dast-e-junoo.n rahy na rahy,astee.n rahy

dard-e-gham-e-firak k yeh sakht marhaly
hera.n hoon mien k phir b tum itny haseee.n rahy

ja or koi zabt ki duniya talash kar
ay ishk ham to ab tery kabil nahi rahy

ALLAH re chashm-e-yaar ki mojiz biyanniyaa.n
har ik ko hy gumaa.n k mukabil hami rahy

is ishk ki talaf yeh maafat dekhna
rony ki hasraatain hain jab aanso nahi rahy
 

~¤Akash¤~

Prime VIP
aaey ishq na cheer aa aa ke hamien
hum bhooley houoon ko yad na kar
pehley hi bohat nashad hain hum
tu aur hamien nashad na kar
kismat ka sitam hi kam nahi kuch
yeh taza sitam ejaad na kar
youn zulm na kar bedad na ker
aaey ishq haien barbad na kar


jis din se mile hain dono ka
sab chain gya aaram gya
chehroon se bahar e subhu gaii
aankhoon se faroog e sham gya
hathoon se khushi ka jaam chuta
hontoon se hansi ka naam gya
ghamgeen na bana nashad na kar
aaey ishq hamien barbad na kar


ratoon ko uth uth kar roote hain
roo roo ke duaien kerte hain
aankhoon main tasavour dil main khalish
sar dhonte hain aahien bharte hain
aaey ishq yeh kaisa roog laga
jeete hain na zalim marte hain
yeh zulm tu aaey jalad na kar
aaey ishq hamien barbad na kar


yeh roog laga hai jab se hamien
ranjeeda hoon main baimar hai woh
har wakt tapsh har wakt khalish
bekhawab hoon main bedaar hai woh
jeene se idhar baizar hoon main
marney pe udhar tyyar hai woh
aur zabt kahey faryad na kar
aaey ishq hamien barbad na kar


jis din se bandha hai dhyaan tera
gabraey houey se rehte hain
har wakt tasavour kar kar ke
sharmaey houey se rehte hain
kamlaey houey phooloon ki tarha
kumlaey houey se rehte hain
pamal na kar barbad na kar
aaey ishq hamien barbad na kar


bedard zara insaaf to kar
is umar main aur magmoom hai woh
phooloon ki tarha nazuk hai abhi
taroon ki tarha maasoom hai woh
yeh husan, sitam, yeh ranj, yeh gazb
majboor hoon main mazloom hai woh
mazloom pe youn bedad na kar
aaey ishq hamien barbad na kar


aaey ishq khudara dekh kahin
woh shookh hazeen badnam na ho
woh mah laqa badnam na ho
woh zuhra jabeen badnam na ho
namoos ka us ke pass rahe
woh parda nasheen badnam na ho
us parda nasheen ko yad na kar
aaey ishq hamien barbad na kar


umeed ki jhoothi janat ke
reh reh ke na dikhla khawab hamien
aainda ki farzi ishrat ke
waadoon se na kar betab hamien
kehta hia zamana jis ko khushi
aati hai nazar kamyab hamien
choor aisi khushi ko yad na kar
aaey ishq hami
 

~¤Akash¤~

Prime VIP
the remaining part of " aaey ishq hamien barbad.."

kya samjhe they aur tu kya nikla
yeh soch ke hi hiran hain hum
hai pehley pehal ka tajrba
aur kam umar hain hum anjan hain hum
aaey ishq khudara reham o karm
maasoom hain hum nadan hain hum
nadan hain hum nashad na kar
aaey ishq hamien barbad na kar



woh raaz hai yeh gham aah jise
pa jaey koi to khair nahi
aankhoon se jab aansoo behte hain
aa jaey koi to khair nahi
zalim hai yeh dunya dil ko yahan
bha jaey koi to khair nahi
hai zulm mager faryad na kar
aaey ishq hamien barbad na kar


do din hi main ehad e tifli ke
maasoom zamaney bhool gai
aankhoon se khushyaan mit si gaien
lab ko traney bhool gai
un pak bahishti khawaboon ke
dilchasp fsaney bhool gai
un khawaboon se youn aazad na kar
aaey ishq hamien barbad na kar


us jaan e haya ka bas nahi kuch
bebas hai paraey bas main hai
bedard diloon ko kya hai khabar
jo pyar yahan aapis main hai
hai bebasi zehar aur pyar hai ras
yeh zehar chupa is ras main hai
zehar na de ,yeh dildar na kar
aaey ishq hamien barbad na kar
 

~¤Akash¤~

Prime VIP
Kisi khush nigah si aankh ne ye kamal mujh pe karam kiya
meri loh e jaan pe raqam kiya
wo jo aik chaand sa harf tha,wo jo aik sham sa naam tha
wo jo aik phool si baat phirti thi dar badar
usay gulistan ka pata diya
mera dil k shehr e malal tha,usay roshni main basa diya
meri aankh aur mere khwab ko kisi aik pal main baham kiya
mere aainon pe jo gard thi mah o saal ki
wo utar gai
wo jo dhund thi mere chaar su
wo bikhar gai
sabhi roop aks e jamal k
sabhi khwab shaam e wisal k
jo ghubar e waqt main sar basar thay atay hue
wo chamak uthay
wo jo phool raah ki dhool thay
wo mehak uthay
liye saat rang bahar k
chala main jo sang bahar k!
to saja diye sabhi raaste,
kisi dast e shaubda saaz ne
mere naam per,mere waaste!

meri be ghari ko panah di,meri justuju ko nishan diya
jo yaqeen se bhi haseen hai mujhe aik aisa guman diya

wo jo raiza raiza wajood tha
usay ik nazar main baham kiya
kisi khush nigah si aankh ne
ye kamal mujh pe karam kiya
 

~¤Akash¤~

Prime VIP
sar jhukaoge to pathar devta ho jaayeGa
itna mat chaho use wo bewafa ho jaayeGa

hum bhi dariya hai hame apna hunar maloom hai
jis taraf bhi chal padenge rasta ho jaayeGa

kitni sachaai se mujhse zindagi ne keh diya
tu nahi mera to koi dusra ho jaayeGa

rooth jaana to mohabbat ki alaamat hai magar
kya khabar thi mujh se wo itnaa khafaa ho jaayeGa
 

~¤Akash¤~

Prime VIP
wo Kya Karti Hogi? kaisi lagti Hogi?
Chand ki kirno jao na ,
us ko choo kar ao na,
woh kab kab kya kya karti hai,
woh jagti hai ya souti hai,
woh kis se batain karti hai, ...
soaye kaisi lagti ha jub jagay
kaisi lagti hai tum chupkay chupkay jao na
tum uss ko choo kar ao na.
 

~¤Akash¤~

Prime VIP
tasveer teri dil mera behla na sakegi
yeh teri tarah mujh se to sharma na sakegi

main baat karunga to yeh khamosh rahegi
seeney se laga lunga to yeh kuch na kahegi
aaraam vo kyaa degii jo ta.Dapaa na sakegii¤

yeh aankhen hain tehri huyi chanchal woh nigaahen
yeh haath hain sehmey huye aur mast woh baahen
perchhaai to insaan k kaam aa na sakegi¤

in hontton ko main kuch de na sakunga
is zulf ko main haath mein bhi le na sakunga
uljhi huyi raaton ko yeh suljhaa na sakegi¤..!!!!!!!!
 

~¤Akash¤~

Prime VIP
tum rooth jao mujhse
aisa kabhi na karna ,
me ik nazar ko tarsun
aisa kabhi na karna ,
me pooch pooch haroon
soo soo sawal kar k
tum kuch jawab na do
aisa kabhi na karna¤
kch me bhi januni,kch
mre muhabt bhi januni
ye janoo tham na jaye
aisa kabhi na karna¤
mujhse hi mil k hasna
mujhse hi mil k roona
mujhse bichar k je lo
aisa kabhi na karna ,
tum chand ban k rehna
me deeekhta rahunga
kisi roz tum na niklo
aisa kabhi na karna ,
tum chaly jao gay tou
dekhnga me tmhra rsta
tum loot k naa aao
aisa kabhi na karna¤ ...
 

~¤Akash¤~

Prime VIP
Apnay Ehsaas Say Choo Kay Mujhay Sandal kar do
Main Kay Sadiyon Say Adhoora Hoon Mujhay Mukkammal Kar Doh

Na Tumhay Hosh Rahay Na Mujhay Hosh Rahe
Iss Qadar Toot Kay Chaho Mujhay Pagal Kar Do¤

Tum Hatheli Ko Meray Pyar Ki Mahndi Say Rango
Apni Aankhon Mein Meray Naam Ka Kajal Kar Do

Is Ke Saye Tallay Mere Khwaab Dhakk Uthain Ge
Mere Chehray Pe Chamkta Hua Anchal Kar Doh

Dhoop he Dhoop Hoon Main Toot Ke Barso Mujh Per
Is Kader Barso Merii Rooh Main Jal Thal Kar Doh

Jaise Sehrahoon Main Her Shaam Hawa Chalti Hai
Is Tarah Mujh Main challo Aur Mujhe Thall Kar Doh

Tum Chuppa Lo Mera Dil Oat Main Apne Dil Ki
Aur Mujhe Meri Nighaoon Se Bhi Ojhall Kar Doh¤

Maslaa Hoon Toh Nighain Na Churao Mujh Se
Apni Chahat Se Tawajjah Se Mujhe Hall Kar Doh

Apne Gham Se Kaho Her Wakt Mere Sath Rahe
Aik Ehsaan Karo Is Ko Mossalsal Kar Doh

Mujh Pe Chah Jao Kisii Aag Ki Surat Janaa
Aur Meri Zaat Ko Soohkha Hua jangle Kar Doh¤..!!!!!!!!!!!
 

~¤Akash¤~

Prime VIP
soyay jazbaat ko uksaa kay ye kia kar baitthay
aaj hum josh may yun aa k ye kia kar baitthay
tak rahay hyn sabhi hayraan nigahon se humen¤
hum bhi hayraan hyn ghabra k ye kia kar baitthay
kia hua tha humeyn kyun hosh gawa rakkha tha
raakh k ddhayr nay sholon ko dabaa rakkha tha¤....


phir pukaara hay mohobbat nay humeyn kia kijiyay
dee sadaa husun ki jannat nay humeyn kia kijiyay
¤
jis kay saayay se bhi aksar humeyn darr lagta tha
chhoo liya phir usee hasrat nay humeyn kia kijiyay
hum nay jazbaat se daaman ko bachha rakkha tha
raakh kay ddhayr nay sholo ko dabaa rakkha tha
¤


ho gai un say mohobbat ye haseen baat hui
aysa lagta hay k weeraanay may barsaat hui
¤
apnay hee aap se anjaan banay phirtay thay
unsay milkar hi kaheen khud se mulaqaat hui
warna humne to yunhi khud ko bhula rakha tha
raakh kay ddhayr nay sholo ko dabaa rakha tha
¤..!!!!!


 

~¤Akash¤~

Prime VIP
gal's feelings

tum raaz agar hotay,may dil me chupa layti
mehkaati hui ankhyn aylaan na bann jaayen
jab naam tera aata, palkon ko jhukaa layti
tum raaz agar hotay,may dil me chupa layti¤

tum meri ummeedon ki kashti k liye saahil

manzil kay liye rasta,ankhon kay liye sahil
tum dhoop me jb aaty,ban jati wahin baadal
awaaz agar hotay, geeton may sajaa layti
tum raaz agar hotay,may dil may chupa layti¤

tum meri taraf chal kar jis raah say bhi aatay

har simt meri ankhyn qadmon k talay paatay
ik meetthi hansi hans kr so phool khila jaatay
ye phool uttha layti, rangon may nahaa layti
tum raaz agar hotay,may dil may chupa layti¤...!!!!!!!!!
 

~¤Akash¤~

Prime VIP
Chalo Ik Shehar Basatey Hain

Aarzuon Ka Qaafila Jahan Rahey

Mohabbaton Ki Baarishon Se Bheegta Shehar

Phoolon Ki Khushboo Se Mehakta Shehar

Qaus-E-Qazah K Rangon Nikharta Shehar

Jahan Waadey Nibhaye Jaatey Hon

Jahan Aansu Gar Bahen Bhi To Khushiyon K

Jahan Tawwaqa-E-Wafa Kabhi Siski Na Bharey

Ik Aisa Shehar….

Jahan Waada-E-Khaloos Sada Aefa Ho

Jahan Nafraton Ka Guzar Na Ho

Jahan Majboorion Ka Uzar Na Ho

Jahan Dil Kabhi Dukhey Nahin

Jahan Rooh Kabhi Thakey Nahin

Jahan Jazbon Ka Yaqeen Miley

Jahan Jafa Ka Kahin Gumaan Na Ho

Ik aisa shehar…

Jahan Manzilen Sarab Na Hon

Jahan Chahaten Baaryaab Hon

Jahan Duaaen Mustajaab Hon

Jahan Bae Basi Ki Saza Na Ho

Jahan Safar Main Kabhi Dagha Na Ho

Jahan Koi Mil K Kabhi Juda Na Ho

Jahan Maslehaten Rawa Na Ho

Jahan Aas Ho Jahan Maan Ho

Jahan Koi Kabhi Khafa Na Ho

Ik aisa shehar….

Jahan Paakiza Maasoomiat Se Bharpoor

Khanakti Hansi Ka Raaj Chaley

Jahan Giley Shikwey Hon Bhi Agar To Mana Leney Maan Jaaney Ka Chalan Chaley

Kathin Gar Rehguzar Ho Bhi To Naaz-O-Maan-E-Humsafar Rahey

Jahan Chandani khiley to Khili Rahey

Jahan Lagan Lagey To Lagi Rahey

Gar Ho Zamaan-O-Makan Ki Haqeeqaten Bhi To

Roohon Ka Milan Rahey

Jahan MAIN Hu Jahan TUM Ho

Chalo Koi Aisa Shehar Basatey Hain!

 

~¤Akash¤~

Prime VIP
IK PAGAL PAGAL C LADKI.....,
ik pagal pagal c ladki
dil torne se darti thi
har pal ,har lamha,
khud se wo jhagarti thi
ansoo kun aay kisi ankh mein
mujrim khud ko samjti thi
ghut ghut k jeeti rehti thi
har saans ulajti rehti thi¤
so baar kaha a nnadaan ladki
duniya ko dekhna chorr de
khud se uljhna chorr de
pal pal bikharna chorr de
yahan hasaas dil to koi nhi
yahan nazuki se kaam na le
yahan pathar ban na parta hai
yahan rehm dili se kaam na le
so baar kaha
par kesi na samj thi
duniya ko hi sab samjti thi
phir wohi huwa jo hona tha¤
dil toota uss ka
jis ka usse rona tha
bharose ki diwaar giri
sard lehje har baar mile
phir simt gai apni zaat mein
tamaam dukhon ko samete anchal mein
ankhon mein jazbaat nhi
pehle se halaat nhi
farq sirf itna huwa
khud apni zaat ko torr diya
tanhaiyon se rishta jorr liya
phir tanha tanha rehne lagi
phir khud ko pathar kehne lagi¤...
ik pagal pagal c ladki
jo dil torr ne se darti thi
 

~¤Akash¤~

Prime VIP

Gar Ye Khwab Hai Tau Ye Khwab Toot Jaye
na hont hansi khilaen na aankhen jagmagaaen
ye aansu tham bhi jaaen ye gham ruk bhi jaye
Gar Ye Khwab Hai Tau Ye Khwab Toot Jaye

ik khwab sa hai lagta jo toot'ta nahin hai
ik waq sa hai lagta jo chookta nahin hai
koi mujh ko de azzeat koi is neend se jagaaye
Gar Ye Khwab Hai Tau Ye Khwab Toot Jaye

ye raat ruk si gai hai kyun subah nahin hoti
main Pathhar si kyun hu, kyun khul k nahin roti
mujhey koi tau jhinjhorrey mujhey koi tau rulaaye
Gar Ye Khwab Hai Tau Ye Khwab Toot Jaye

meri zubaan hai kyun band si ye paaon nahin chaltey
ik qayamat ka sa samaa hai mera dil ruk raha hai
ye sab ik gumaan hia mujhey koi tau samjhaaye
Gar Ye Khwab Hai Tau Ye Khwab Toot Bhi Jaye

meri zameen nikal gai hai mera asmaan hatt raha hai
mujh main ab sakat nahin mujhey koi aas tau dilaye
Khudaya ye saraab rakhna bus ye khwab toot jaaye
Gar Ye Khwab Hai Tau Ye Khwab Toot Bhi Jaye

na aansu ab hain behtey na lab hil rahey hian
ik nizaaa ka hai aalam ik sakta bus hai taari
kyun meri chup siskiyaan ab koi nahin sunta
mujhey koi tau hilaaye bus ye khwab toot jaaye

main neend kabhi ab na loon ye takleef bepanah hia
jab uthhooon gi tau hansoon gi mujhey koi tau manaaye
gar ye khwab hai tau ye khwab bus ab toot bhi jaye
bus koi yaqeen dilaye Khudaya ye khwab toot jaaye

meri zindagi bhi le lo, meri Rooh girrgirra rahi hai
meri saans ruk rahi hia Meri Aas na le kar jaao
meri Aah na samaeto mujhey khwab se jagaao
Khudaaya Tu issey khwab hi rakhna Bus ye khwaab Toot Jaaye

ye khwaab toot raha hai per ye saraab kyun nahin banta
kyun hai itni talakh haqeeqat mujhey khwab main le jaao
mujhey aisi neend sulaao mujhey khwab phir na aaye
Ya Gar Ye Khwab Hai Tau Ab Bus Ye Khwab Toot Bhi Jaye


 

~¤Akash¤~

Prime VIP
Us ki ankhon main muhabbat ka sitara hoga
woh aik din aaye ga woh shakas humhara hoga

Tum jahan mere liye seepiyan chunti hogi
Woh kisi aur hi dunya ka kinara hoga

Zindagi! ab k mera naam na shamil karna
ger yeh tay hay k yehi khel dobara hoga

jis k hone se meri saans chala karti thee
kis tarah is k bagair apna guzara hoga

Yeh achanak joh ujala sa hua jata hai
dil ne chupke se tera naam pukara hoga

Ishq karna hai tou din raat ussey sochna hau
aur kuch zehan main aaya tou khasaara hoga

yeh joh paani main chala aaya sunheri sa guroor
us ne darya main kahin paaon utara hoga

kon rota hai yahan raat k sanaton main
mere jaisa hi koi hijer ka mara hoga

mujh ko maloom hay jonhii main qadam rakhonga
zindagi tera koi aur kinara hoga

joh meri rooh main badal se garajte hain wasii
us ne seene main koi dard utara hoga

kaam mushkil hai mager jeet hi longa us ko
mere Maula ka wasi jonhi ishara hogaa
 
Top