meri qabar per zaroor aya karna............................

~¤Akash¤~

Prime VIP
Meri qabar per zaroor aya karna,
magar shart hai aansoo na bahaya karna,

taklef ho gi meri rooh ko bhi tere ansoo dekh ker,
meri rooh ko na tarpaya karna,

tere khawabon men aaya karoon gi,
kabhi yaad ker k meri mohabbat ko azmaya karna,

meri qabar per phool anso'un k na charhana,
bus aa ker kabhi apni mohabbat ka saaya karna,

meri dua hai k tera gher khushion ka gehwara ho,
tum khushi ki her mehfui mien jaya karna,

meri yad men na roya karna,
kbhi udas ho tou aaghosh mein apne hamsafer ki so jaya karna,

meri qabar per zaroor aya karna............................
 
Top