meri barbadi ka tum jasn manaya na karo...!!!

~¤Akash¤~

Prime VIP
Ek choti si gujaaris hai,gar kubul karo,
meri yaadon mein ake,mujhko sataya na karo.
..
uss judai ko yaad karke kaamp utheta hu,
aise manjar ko phir se saamne laya na karo.
..
aasuo se bani tasveer mein ai mera naseeb
iss hakiqat pe jhuthe parde giraya na karo.
..
ban gaya duniya ka dastur dil ke saudon ka,
aise dastur ko tun aage badhaya na karo.
..
kis kadar tuta hu,bikhra hu, aur siskata hun,
meri haalat ka tamasha to banaya na karo.
..
mere chehre se jhalkta hai mera gum lekin,
meri daastan mahfilon mein sunaya na karo.
..
apni ujadi hui ulfat ki kasam deta hu ,
meri barbadi ka tum jasn manaya na karo...!!!
 
Top