meri ankhoon pe marta tha meri baaton pe hansta tha na jane

~¤Akash¤~

Prime VIP
meri ankhoon pe marta tha
meri baaton pe hansta tha
na jane shaks tha kesa mujhy khony se darta tha
mujhy jab bhi wo milta tha
har bar yeh kehta tha
suno............

agar main bhool jaon to
agar main rooth jaon to
kabhi wapis na aaon to
bhula pao gi ye sab khuc ?
youn hi hansti raho gi kya/?
youn hi sajti raho gi kya?
yeh hi baaten hain bas uski
yeh hi yaaden hain bas uski
mjhy bas pata hai itna
mujhy wo pyar karta tha
mujhy khony se darta th
 
Top