mere khyaalon se shayad woh sharmaata hoga

mere khyaalon se shayad woh sharmaata hoga
neend magar usko bhi nahi aati hogi
chand ki khud koi roshni nahin hoti
yeh sochkar woh aur bhi itraata hoga
kabhi kankhiyon se dekhkar
kabhi titliyon se khelkar
dhadkanein uske dil ki bhi badh jaati hogi
nadi ko dekhkar behak jaati hai
uski baaton mein rawaani chalak aati hogi
khair ki bijli phalak pe kadakti hai
yeh sochkar woh aur bhi seham jaata hoga
mera jikr kabhi to aa jaata hoga
ki woh apne aap me simat jaata hoga
yeh zindagi kitni choti hoti hai
pal bhar mein zinda pal bhar mein mar jaata hogA
 
Top