Mere khawabo me bhi uska aana.. achha lagta hai....

~¤Akash¤~

Prime VIP
Wo apni hai ya begani.. achha lagta hai,
Do pal uske saath bitana.. achha lagta hai,
Roz bahane kar ke jana.. achha lagta hai,
Ik jhalak bhi uski pana.. achha lagta hai,
Kahne ko jab chaanhu.. haan kar degi wo,
Lekin phir bhi uska.. na na achha lagata hai,
Uski baat kuchh alag hai.. mujhko kuchh bhi kah le,
Aashiq, pagal ya deewana.. achha lagta hai,
Usko log shama kahte hain.. muskurati hai wo,
Mujhko kahte hai parwana.. achha lagta hai,
Rishta hai na jane.. mera usse kaya,
Mere khawabo me bhi uska aana.. achha lagta hai....
 
Top