Meray koochay mai kadam aap jo aa kar rakhtay

~¤Akash¤~

Prime VIP
Meray koochay mai kadam aap jo aa kar rakhtay

ham bhi rahon mai dil-o-jan bicha kar rakhtay


tum agar itni ijazat hamain day detay kabhi

teri tasweer ko ham dil mai saja kar rakhtay


kash izhar-e-waffa kar dia hota ham nay

yun na jazbaat ko ham dil mai dabba kar rakhtay


hamain maloom jo hota teri sazish ka kabhi

ham rakeebon say bhi kuch baat bana kar rakhtay


meray is dil ki tarap tum nay jo samjhi hoti

tum kabhi yun na mujhay door hata kar rakhtay


mil hi jati jo khabar gar teray anay ki hamain

ham teray wastay kuch sans bacha kar rakhtay


in sazaon ka to maloom nhi tha warna

roz-e-mehshar k liye karm kama kar rakhtay


kash ham hotay sukhanvar kabhi "asim" jaisay

apnay shairon say dar-o-baam hila kar rakhtay
 
Top