Mein na dohraaoon to phir khud hi sunaa deta hai..

~¤Akash¤~

Prime VIP
Woh kaisa shaks hai k har rooz saza deta hai..
Phir hansta hai woh itna k sab bhula deta hai...

Kabhi jo ro de to mujhe bhi bhool jata hai..
Aur phir bhool k mujh ko bhi rula deta hai...

Hamarae paas na aane ki kasam kha kar woh..
"AAJA" Likhta hai woh, kaghaz pey urra deta hai..

Usse poocho k bata kis se muhabbat hai tumhein..
Naam sargoshi main Mera hi suna deta hai...

Kabhi kehta hai chalo saath hamesha mere..
Chal paroon saath to raasta hi phira deta hai..

Khud hi kehta hai na dohraao purani yaadein..
Mein na dohraaoon to phir khud hi sunaa deta hai..
 
Top