Mat poocho ye mujhe kab kab yaad aate hain

~¤Akash¤~

Prime VIP

Mat poocho ye mujhe kab kab yaad aate hain
Jab jab saansein chalti hain bahaut yaad aate hain

Neend mein palkein hoti hain jab bhi bhari
Banke khwaab baar baar nazar aate hain

Mehfil mein shaamil hote hain hum jab bhi
Bhird ki tanhayon mein her baar nazar aate hain

Jab bhi socha ke faasla rakhoon main unse
Zindagi ban ke saanson mein sama jaate hain

Khud ko toofaan banaane ki koshish to ki
Ban ke saahil apni aagosh mein sama jaate hain

Chaha na tha main ne is paheli mein uljhna
Her uljhan ka jawab ban ke ubhar aate hain

Suraj ki roshni,chanda ki chandni
Aasmaan ko dekhta hoon main jab jab

UNKI kasam bahaut bahaut yaad aate hain
Ab na poochna mujhse ke kab kab yaad aate hain ....
 
Top