mastaanaa piye jaa yuun hii mastaanaa piye jaa

mastaanaa piye jaa yuun hii mastaanaa piye jaa
paimaanaa to kyaa chiiz hai maiKhaanaa piye jaa

kar garq mayojaam Gamegardisheayyaam
ab ai dilenaakaam tuu maiKhaanaa piye jaa


maynoshii ke aadaab se aagaah nahiin tuu
jis tarah kahe saaqiiemaiKhaanaa piye jaa


is bastii mein hai vahashatemastii hii se hastii
diivaanaa ban aur baadaaediivaanaa piye jaa

maiKhaane ke hangaamen hain kuchh der ke mehamaaN
hai subah qariib "Akhtar" divaanaa piye jaa
 
Top