manga jo phool maine har haath se patthar nikla...!!!

~¤Akash¤~

Prime VIP
bheed mein wo ajnabi mera hamsafar nikla
chala thaa jise lutne wo mera hi ghar nikla .....
...
barson jisse ulfat mein khata freb
ulta jo ghunght phir wahi sitamgar nikla .....
..
peene mein do aansu uski umr guzar gai
mere har aansu ke piche ek samandar nikla .....
..
jaanta thaa main bheed mein kho jayega wo
mere bagair wo akela kyon safar par nikla .....
..
bata aur kya doon saboot apni chahton ka
teri heena main bhi mera khoon-e-jigar nikla .....
..
ta umra lakeeron mein dhundhta raha jise
tere kadmon tale mera khoya mukaddar nikla .....
...
deta raha main to har kisi ko khushi ke phool
manga jo phool maine har haath se patthar nikla...!!!
 
Top