Us ko juda huye bhi zamaana bahut hua Ab kya kahe ye kissa purana bahut hua Ab kyon na zindagi pe mohabbat ko vaar dein Is aashiqi mein jaan se jaana bahut hua Ab tak to dil ka dil se taarruf na ho saka Mana ki us se milna-milaana bahut hua