Man aashaaon se bhar

~¤Akash¤~

Prime VIP
Jab kabhi
Chalte chalte thak saa jaataa hoon
Bheed mein kho saa jaataa hoon
Kucch karte karte karte hataash
Saa ho jaata hoon

Tab,
Band kar leta hoon apni aankhen
Door kshitiz par
Dikhayi deta hai ek chehara
Undekha saa, muskuraarta saa
Sunaayi dei hai ek awaaz
Unsuni si, kuch gunugunaati shi
Kuch gaati si

Phir,
Sab kuch pahle saa ho jaata hai
Saari thakan jaane kahan jaati hai
Man aashaaon se bhar jaata hai
 
Top