main wohi hoon jisay tum pyaar kiya kerte thay din main so b

~¤Akash¤~

Prime VIP
main wohi hoon jisay tum pyaar kiya kerte thay
din main so baar mera naam liya kerte thay

aj kya baat hai kion mujh se khafa bethe ho
kya kisi aur ko dil apna bana bethe ho

faslay itnay to pehlay na howa kerte thay
main wohi hoon jisay tum pyaar kiya kerte thay

mujh ko maloom hai gham hai koi sogaat nahi
tum mujhe apna kaho aysay bhi haalaat nahi

zakham to pehlay bhi is dil pe laga kerte thay
main wohi hoon jisay tum pyaar kiya kerte thay

tum mujeh hasil-e-armaan kaha kerte thay
main wohi hoon jisay tum pyaar kiya kerte thay
 
Top