Main to khushboo hoon fhizaon mein bikhar jaaoongi !

~¤Akash¤~

Prime VIP
Itna tooti hoon ki choonay say bikhar jaaoongi,
Ab agar aur dua dogay to mar jaaoongi !
Pooch kar mera pata, waqt ra-e-gah na karo,
Main to banjaran hoon, kya jaanay kidhar jaaoongi !
Har taraf dhund hai, jugnu hai na charag koi,
Kaun pehchanayga, basti mein agar jaaoongi !
Zindagi, main bhi musaafir hoon teri kashti ka,
Tu jahan mujh say kahegi main utar jaaoongi !
Phool rah jayeengay guldaan mein yaadon ki nazar,
Main to khushboo hoon fhizaon mein bikhar jaaoongi !
 
Top