main mom to nahi,

Saini Sa'aB

K00l$@!n!
main mom to nahi,
jo pal bhar me pighal jaaun.
na hoon me shila,
jo hil bhi na paaun.
kyun samzte hai mujhko,
haad-maans ki kathputli,
khinchte hai dor is kadar ki,
saans bhi na le paaun.
kyun na samzti hai ye duniya,
mujhko bhi ek insaan.
apna dard, apne jazbaat,
kese me chhupaaun.
jab bhi badhaya haath kisi ki aur,
berukhi, bewafaai hi paaun.
thaam le jo muje mere jazbaaton ke saath,
bheed me ese haath kahan khoj paaun.
ye tanhaai, ye soonapan,
kese mita paaun.
 
Top