Main lafzon se kuch bhi izhar nahi karti

Angelic~

Lovable Stranger~
Main lafzon se kuch bhi izhar nahi karti,
Iska matlab yeh nahin ki main tujhe pyar nahi karti,

Chahti hun main tujhe aaj bhi par,
Teri soch main apna waqt bekaar nahi karti,

Tamasha na ban jaye kahin mohabbat meri,
Isliye apne dard ko aashkaar nahi karti,

Jo kuch mila hai usi main khush hun main
Tere liye khuda se taqraar nahi karti,

Par kuch to baat hai teri fitrat me zaalim,
Warna tujhe chahne ki khata baar baar nahi karti:w
 
Top