Main kehti thi wo sunta tha, Un lakhon baaton main, Koi ek b

~¤Akash¤~

Prime VIP
Koi had bhi us ko yaad nahi,
Koi baat bhi usko yaad nahi,
Ek shaks ne usko chaha tha,
Wo zaat bhe usko yaad nahi,
Jab shab ki bijli chamki thi,
Aur badal toot k barsa tha,
Hum dono jis main bheege the,
Wo barsaat bhi usko yaad nahi,
Wo saahil dariya phool hawa,
Wo waada saath nibhane ka,
Aur shab bhar chand ko dekha tha,
Wo raat bhi usko yaad nahi,
Woh kehta tha main sunti thi,
Main kehti thi wo sunta tha,
Un lakhon baaton main,
Koi ek baat bhe usko yaad nahi
 
Top