Main jaa rahi hoon tumhe aaj bhi khusiyan dekar

~¤Akash¤~

Prime VIP
Chman se kaun chla hai khamosiyan lekar
Kali kali ro rahi hai siskiyan lekar

Jo rat din mare marne ki mangte the dua
Wo ro rahe the janaje par Hichkiyan lekar

Bhula saki na wo jakam jo diya tune mujhe
To ji gaye jindgi bewafaiyan sahakar

Saja mili un gunaho ki jo kiye na kabhi
Na do aur saja mujhko un ro ro kar

Vida ki bela mai aaye tum sakun mila
jabab do Kyu gaye tum tanhaiyan dekar

Jinda thi tab to na aaye tum
To so gaye hain tumhari nishaniyan lekar

Sab sahe gayi par dua thi ki teri khushiyon ki
Sakun na milega mujhe tumhe beecheniyan dekar

Mil gaya jism mitti mai hasrten na miti
Aaj kar do inhe bhi pura mera man chukar

nA thi sikayten kabhi tumse na kabhi socha bura
Main jaa rahi hoon tumhe aaj bhi khusiyan dekar
 
Top