magar rooh ko sukun de jaaye jo woh "Katil" nazar nahi aata

~¤Akash¤~

Prime VIP
Sitaron se bhare aasman main
woh aftaab nazar nahi aata !!
begano ke is mehfil me ..
woh apna sa chehra nazar nahi aata !!

jindagi gujar jaati hai khwabon ke sahare
lekin jo khwaab apna hai woo nazar nahi aata!!

yun toh kat jaani hai safar-e-jindagi...
manzil tak jo le chale, woh hamsafar nazar nahi aata !!

zakhm de jaaye jo kaante wo mil jaate hain beshumaar!!!
Mehka de khusbu se jindagi ko.. woh phool nazar nahi aata !!!

kabr par rone aa gaye dost aur dushman kai
magar rooh ko sukun de jaaye jo woh "Katil" nazar nahi aata
 
Top