magar khonay say darta hoon k ab main sonay say darta hoon

~¤Akash¤~

Prime VIP
Mairay Saathi Yeh Haqeeqat Hai

mujhay is tarah sotay houay mat chod kar jana
mujahy baishak jagadaina
bata daina
mohabat k safar main mairay saath tum chal nahi sakteen
judaii main,Hijr main, mairay saath tum jal nahi sakteen
tumhay rasta badalna hai
mairi had say nikalna hai
tumhay kis baat ka darr tha
tumhay janay nahi daita
kaheen pay qaid kar laita

aray pagal!

mohabat ki tabiyat main
zabardasti nahi hoti
jisay rasta badalna ho, ussay rasta badalnay say
jisay hadd say nikalna ho, ussay hadd say nikalnay say
na koi rok paya hai
na koi rok paye ga
tumhay kiss baat ka darr tha
mujhay baishak jaga daitay
main tumko daikh hi laita
tumhay koi dua hi daita
kam az kam yeh tou na hota
mairay saathi yeh haqeeqat hai
tumharay baad khonay k liye kuch bhi nahi baqi
magar khonay say darta hoon
k ab main sonay say darta hoon
 
Top