maa....

mujhe adna sa samjha tha
zamane ki nighaon ne
mujhe pagal bana daala tha
anjaani khataon ne
kaha tha jyotishi ne teri kismat
mein hai ghum hi ghum
badal daala unko magar meri
maa ki nighaon ne
talwaar se darr hai na muje
khaar se koi
hardum mujhe bacha raha
majhdaar hai koi
jab jab bhi maine MAA ko
pukaara to aisa laga
sehla raha hai sir ko mere pyaar
se koi
jhuka hai zindagi bhar pyaar
maashuka ke kadmon mein
tu paise ki hawas mein jhuka
raha nadaan ke kadmon mein
jahan ki saari doulat aur
khushiyaan paayega jannat
kabhi to dekh jhukkar yaar apne
maa ke kadmon mein
 
Top