lekin ye sochta hun k ab tera kya hun main

~¤Akash¤~

Prime VIP
Sadma to hai mujhe bhi k tujhse juda hun main
lekin ye sochta hun k ab tera kya hun main
bikhra para hai tere he ghar mein tera wajud
bekaar mahfilon mein tujhe dhundta hun main
main khudkashi k jurm ka karta hun aitaraf
apne badan ki qabr mein kabse gara hun main
kis-kiska nam laun zaban par k tere saath
har roz ek shakhs naya dekhta hun main
na jane kis ada se liya tune mera naam
duniya samajh rahi hai k sab kuch tera hun main
le mere tajurbon se sabak ae mere raqib
do char sal umr mein tujhse bara hun main
jaga hua zameer wo aina hai "ALi"
sone se pahale roz jise dekhta hun main
 
Top